Maroof adakara Mishi Khan ne samaji soch par tanqeed karte hue kaha ke ‘jawan beti ghar mein ho toh barkat nahi aati’ wali baat bilkul bekaar hai. Unhon ne is qisim ke nazariyat ko fazool qarar diya. Un ke is dabang bayan ki social media par kafi tareef ki ja rahi hai.