Pakistan ki Mashhoor Adakara Dur-e-Fishan Saleem ne drama ‘Dar-e-Nijaat’ mein apne kirdar Zaryab par uthne wale sawalat ka jawab diya hai. Unhon ne kaha ke ye kahani maafi aur galti par mabni hai. Unhon ne shaiqeen se Zaryab ko aik pechida kirdar ke tor par samajhne ki darkhwast ki hai.