Eman Fatima ne apne bete Kivan ki saalgirah par shohar Rajab Butt ki aamad par jazbati bayan diya hai. Unhon ne umeed zahir ki ke Rajab unhein aur bete ko wapas ghar le jayenge. Larai ke baad is achanak mulaqat par fans ki taraf se mukhtalif radd-e-amal samne aa rahe hain.