Pakistani adakara Saba Qamar ne apne dramas ke kirdaron par mazaqia baat karte hue kaha ke un ki qismat kharab hai kyunke un ke dramas mein heroes hote hi nahi hain. Un ke is dilchasp bayan ne social media par logon ki tawajjo hasil kar li hai aur fans un ki acting ki tareef kar rahe hain.