Maroof TikToker Rabeeca Khan ke waalid Kashif Khan ne shadi ke kharchon par mashwara diya hai. Unhon ne kaha ke shadi ki sirf aik hi taqreeb honi chahiye taake fazool kharchi se bacha ja sake. Un ke is aasan aur sadah mashware ko social media par log kafi pasand kar rahe hain.