Maroof adakar Danish Taimoor ne YouTube par naya record qaim kiya hai. Wo pehle Pakistani adakar ban gaye hain jin ke musalsal teen drame ‘Sher’, ‘Man Mast Malang’, aur ‘Humrahi’ aik billion se zyada baar dekhe gaye hain. Is bari kamyabi par un ke fans kafi khush aur pur-josh hain.