Maroof singer Ali Zafar ke chote bhai aur adakar Danyal Zafar ki mangni ho gayi hai. Unhon ne aik sada aur private khandani taqreeb mein mangni ki, jis mein sirf qareebi rishtedar shamil huye. Fans ne social media par Danyal ko mubarakbaad dete huye is sadgi ko kafi pasand kiya hai.