Adakara Anum Husain ne Sajal Aly ke sath kaam karne ke tajurbe par baat ki hai. Unhon ne bataya ke jab project ‘Main Manto Nahi Hoon’ ki shooting khatam hui to unhon ne dua maangi ke unhein Sajal Aly ke sath dobara kaam karne ka mauka miley. Fans un ke is bayan ko kafi pasand kar rahe hain.