Maroof Pakistani superstar Faysal Quraishi aur unki biwi Sana Faysal ne apni shadi ki 16vi salgirah manai hai. Yeh jodi picchle 16 saalon se aik dusre ke sath bohot khushgawar zindagi guzar rahi hai. Fans aur showbiz se wabasta shakhsiyat is pyari jodi ko salgirah ki mubarakbaad de rahe hain.