Maroof host aur actress Nida Yasir ne maaoon ki tarbiyat par ahem mashwara diya hai. Unhon ne kaha ke maaoon ko apne beton ko yeh bhi sikhana chahiye ke baccha paida hone ke baad biwi ke sath kaisa rawaiya rakhna hai. Unka yeh bayan parenting ke muamle me kafi pasand kiya ja raha hai.