Maroof adakara Zoha Tauqeer ko Geo TV ke drama serial ‘Kaisa Yeh Ishq’ me rona dhona aur zyada overacting karne par tanqeed ka samna hai. Social media users ka kehna hai ke wo har drama me aik hi jaisa rona dhona karti hain aur unhein aik hi tarah ke kirdaron me typecast kiya ja raha hai.