Maroof adakaara Mahira Khan aur Wahaj Ali naye drama serial ‘Mitti De Baway’ me pehli baar aik sath nazar aayenge. Green Entertainment ke is naye drama ko Faiza Iftikhar ne likha hai jabke Wajahat Hussain ne direct kiya hai. Is khabar ne fans ki shauqiyat ko bohot badha diya hai.