Film star Laila ne reality show Tamasha Season 5 me apni zindagi ki dardnak azmaishon ka zikr karte hue jazbaati bayan diya hai. Unhon ne bataya ke unhon ne apne maa baap, do jawan bhaiyon aur ghar gariyon samet croreon ki jaidaad kho di, jiske baad wo bilkul akeli reh gayin.