Superhit drama serial Ishq Murshid ne aik naya record bana diya hai. Yeh YouTube par 3 billion se zyada baar dekha jaane wala Hum TV ka pehla drama ban gaya hai. Bilal Abbas Khan aur Durefishan Saleem ke is drama ko dunya bhar me logon ne bohot pasand kiya hai.