Drama ‘Ishq Mein Tere Sadqay’ ki kamyabi ke baad Muneeb Butt aur Anika Zulfikar ki jodi aik baar phir screen share karne ke liye tayyar hai. Dono adakaroon ne producer Babar Javed ke naye drama project ko sign kar liya hai, jis ki hidayat kaari Ilyas Kashmiri karein ge.