Maroof Indian adakaara Rakhi Sawant ne apni roohani zindagi par inkishaf karte hue bataya ke wo 5waqt namaz aur Tahajjud ki paband hain. Unhon ne yeh bhi bataya ke wo ab tak 8 baar Umrah ada kar chuki hain. Unke is bayan par social media par aam bahas chhir gayi hai.