Maroof adakaara Saba Hameed do alag dramon me adakar Faran Tahir ki biwi aur maa ka kirdar aik sath nibhane par charcha mein hain. Drama Bus Tera Saath Hu me dono miya-biwi jabke Dar E Nijat me maa-beta bane hain, jis par fans social media par dilchasp aur mazahiya tabsare kar rahe hain.