Maroof senior adakaara Shagufta Ejaz ne YouTuber banne ki wajah bata di. Unhon ne bataya ke wo apne damad Ali Hamza Baloch ke daily vlogs se mutasir huin aur unhi ki madad se apna channel shuru kiya. Ibtida me unke bachay videos edit karte the, lekin ab wo khud editing karti hain.