Maroof adakaara Momina Iqbal ki behan aur wakeel Rimsha Iqbal ne apne shadeed khushi ke lamhe ka zikr karte hue bataya ke Momina ka Nikkah un ke liye sab se haseen din tha. Unhon ne bataya ke Momina ne hamesha walidain ki tarah unka khayal rakha aur unke shohar Hamza aik behtareen insan hain.