Senior adakaar Javed Sheikh ne inkishaf kiya hai ke unhon ne Shah Rukh Khan ki film ‘Om Shanti Om’ me kaam karne ka koi muawza nahi liya. Unka kehna tha ke Shah Rukh Khan ke sath kaam karna un ke liye aetazaz ki baat thi, is liye unhon ne paise lene se inkaar kiya.