Senior actress Atiqa Odho ne show ‘Kya Drama Hai’ me drama serial ‘Zanjeerain’ ke script par saqt tanqeed ki hai. Unhon ne kaha ke drame me kisi qanooni idare ya police ka na hona samajh se baahar hai. Aisa lagta hai jaise kirdar Mars par reh rahe hain jahan koi qanoon nahi.