Senior adakara Sania Saeed ne Durefishan Saleem ki haaliya adakari ki bharpoor tareef karte hue unhein khiraj-e-tehseen pesh kiya hai. Unhon ne kaha ke Durefishan ke paas bilkul lines nahi thin aur woh depression mein thin, is ke bawajood unhon ne apne ta’asurat se lajawab adakari karke sabit kiya ke adakari alfaaz se barh kar hoti hai.