Pakistani drama ‘Dar e Nijaat’ ke kirdar Zaryab ka fashion sarhad paar bhi maqbool hone laga hai. Indian digital star Urfi Javed ne Zaryab se mutasir hokar unhi ki tarah farshi suits pehanne ki khwahish ka izhar kiya hai, jis se sabit hota hai ke Zaryab ka style Indian shaiqeen ke dil jeet raha hai.