Drama writer Bee Gul ne Pakistani shadiyon ki talkh haqaiq par baat karte hue kaha hai ke Islam mein talaq ki ijazat ke bawajood log muashre ke khauf se takleef deh rishton mein zindagi guzarne par majboor hain. Unhon ne mazeed kaha ke talaq shuda khawateen ko nazar andaz kiya jata hai aur aise gharon ke bachay bhi hamesha pareshan rehte hain.