Adakara Aiman Khan ne apne shohar Muneeb Butt ke liye mohabbat bhara paigham share karte hue unhein apna real-life diamond qarar diya hai. Aiman ne kaha ke unhein har anniversary aur birthday par diamonds chahiye hotay hain aur Muneeb hi unki zindagi ke asal heere hain, jis ne madahon ke dil jeet liye hain.