Bollywood shakhsiyat Rakhi Sawant ne inkishaf kiya hai ke unhon ne Salman Khan ko Pakistani adakara Hania Aamir ke sath kaam karne ka mashwara diya hai. Rakhi ke mutabiq unhon ne Salman bhai se kaha ke woh is chulbuli Pakistani larki ko dekhein aur Hania ke sath kaam karein, jis par madahon mein nayi dilchaspi barh gayi hai.