Senior adakara Nadia Afgan ne 30 saal se zyada arsa Lahore mein guzarne ke baad Karachi muntaqil honay ka bara faisla kar liya hai. Shohar Jawad ki Karachi posting ke baad Nadia wahan naya ghar basane ke liye purjosh hain, aur unhon ne mazaq mein kaha ke ab producers ke Lahore-Karachi ke flight tickets ke kharchay bach jayenge.