Adakara Momina Iqbal ne apni azdawaji zindagi ka khulasa karte hue bataya hai ke unke shohar unke jazbaat ko lekar behad protective hain. Momina ke mutabiq jab koi unhein dukh deta hai toh unke shohar is baat ko bohot sanjeedgi se letay hain aur aksar us shakhs se faasla ikhtiyar kar letay hain.