Maroof showbiz jori Farhan Saeed ne apni ahliya aur adakaara Urwa Hocane ki saalgirah par Instagram par aik pyari video share karte hue unhein Mubarakbaad di hai. Beti Jahan Aara ke waldein, Farhan aur Urwa ne zindagi me kaafi utaar charhao dekhe hain aur ab dono jald hi alag alag projects me nazar aane wale hain.