Social media users hit drama serial ‘Dar-e-Nijaat’ ke markazi kirdaron Zaryab aur Abubakar ki kahani ko sabiq Indian adakara Sana Khan aur unke shohar Mufti Anas ki haqeeqi zindagi se jor rahe hain. Fans ke mutabiq Sana ne bhi showbiz chhor kar Mufti Anas se shadi ke baad deen ka rasta ikhtiyar kiya.