Mashhoor anchor Iqrar-ul-Hassan ke bete Pehlaaj Hassan ne aik podcast mein apni teeno mamas ke sath talluqat par khul kar baat ki hai. Unhon ne bataya ke unka sab ke sath dostana aur ehtram ka rishta hai; unki walda Aini perfect hain, Farah aunty ba-waqar hain aur Aroosa aunty bohot pur-mazaq hain.