Mashhoor Pakistani vlogger Maaz Safder ne beti ki pedaish ki khushi mein apni wife Saba Maaz ko aik shandar gari tohfay mein di hai. Ghar par grey Suzuki Wagon R deliver hone par Saba ne shukar ada karte hue kaha ke unhon ne shohar ko baap banaya toh unhon ne unhe princess mehsoos karwaya.