Umera Ahmed ne apne maqbool kirdar ‘Salar Sikandar’ aur drama ‘Dar-e-Nijaat’ ke kirdar ‘Abu Bakr’ ke darmiyan hone walay muwazanay par rad-e-amal de diya hai. Unhon ne kaha ke 100 Abu Bakr mil kar bhi Salar Sikandar jaisay nahi ban saktay aur fans se darkhwast ki ke dono kirdaron ka muwazana band karein.