Adakaara Kinza Hashmi ne aik interview me bataya ke wo kai baar khud ko ‘underrated’ mehsoos karti hain. Unhon ne Dil Awaiz, Shirin Farhad aur Khushboo Main Basay Khat jese mukhtalif dramon ki misaal di. Unhon ne kaha ke wo is baat par udaas nahi hain kyun ke log unki salahiyat se waqif hain.