Mashhoor YouTube group ‘Sistrology’ ki Rabia Faisal ab mainstream adakari mein qadam rakhne ja rahi hain. Geo TV ke naye drama ‘Behis’ ka teaser jari kar diya gaya hai, jis mein woh Adnan Raza Mir ke mad-e-muqabil markazi kirdar nibhayengi. Is casting par social media sarfeen mile jule rad-e-amal de rahe hain.