Hania Aamir aur Indian rapper Badshah ke darmiyan dating ki afwahon ka end ho gaya hai. Punjabi adakara Isha Rikhi ne Badshah ke sath apni shadi ka baqaida elan kar diya hai, jis ke baad social media par fans is nayi jodi ko mubarakbaad de rahe hain aur purani afwahein dum tor gaein.