Saira Naseem ne Nimra Mehra ke hawale se bayan diya hai. Saira Naseem ka kehna tha ke Nimra Mehra ka koi gaana viral hona aik alag baat hai, magar woh playback ya professional singer nahi hain. Unhon ne wazahat ki ke Nimra ne sangeet ki baqaida training haasil nahi ki hai, is liye woh unhein singer nahi maantin.