Nida Yasir ne bataya ke woh apni beti ko itni samajh aur aitmaad dena chahti hain ke woh khud apne liye behtareen humsafar ka intekhab kar sake. Unhon ne kaha ke woh beti ki pasand ka ehtram karengi aur us par aitraaz nahi karengi. Nida ke mutabiq, behtar tarbiyat aur duniya ka tajurba bachon ko sahi faisla karne mein madad deta hai.