Emmad Irfani ne Fahad Mustafa ki stardom ko le kar apna tajurba share kiya. Unhon ne bataya ke ‘Kabhi Main Kabhi Tum’ ki shooting ke doran Central Jail Karachi mein har kuch minute baad officers Fahad Mustafa se milne aate thay. Qaidi bhi un ke fan thay aur unhein bohat pasand karte thay.