Maroof adakara Momina Iqbal ka aik bayan social media par share kiya gaya hai, jis mein unhon ne dil dukhane ke hawale se baat ki hai. Momina Iqbal ka manna hai ke maafi sirf un baaton ya ghaltiyon ki hoti hai jo un-jaane mein ho jayein, jabke kisi ka dil dukhane ka nateeja hamesha ‘Makafat-e-Amal’ (karma) ki soorat mein bhugatna parta hai.