Alizeh Shah ne Sarah Khan aur Falak Shabir par mazeed ilzamaat lagaye. Alizeh ka kehna hai ke 6 saal pehle unhein teenager hone par manipulate kiya gaya aur Sarah Khan ne khud un ka wardrobe design kiya tha. Unhon ne mazeed kaha ke kam budget par kaam karwane ke baad un se kiye gaye waade poore nahi kiye gaye.