Tabish Hashmi Hajj ka mubarak safar mukammal karne ke baad watan wapas laut aaye hain. Un ke ghar pohanchne par khandan, doston aur fans ki taraf se un ka bohot shandar aur mohabbat bhara isteqbal kiya gaya, jis ki tasaveer aur videos social media par tezi se viral ho rahi hain.