Nida Yasir ne bataya ke un ki walida ne un ki shadi ko bachaya. Unhon ne kaha ke shadi ke shuruati saalon mein woh gusse mein rokar apni walda ko shikayatein lagati thin. Magar un ki walda un ki baaton par dhyan nahi deti thin aur damad se naraz nahi hoti thin, jis se un ka rishta tootne se bach gaya.