Momina Iqbal aur Muhammad Hamza Habib ke Mehndi shoot ki aik video social media par aane ke baad logon ki tanqeed ka nishana ban gayi hai. Is video mein dono ke darmiyaan kaafi romance dikhaya gaya hai, jis par fans sakht naraz hain. Kai logon ne is par tanz karte hue kaha ke aisi niji videos public mein share nahi karni chahiye.