7th Sky Entertainment aur Geo Entertainment mil kar Pakistan ki maroof alleged drug queen Anmol aka “Pinky” ki zindagi par aik high-profile biographical drama bana rahe hain. Is drama mein markazi kirdar ke liye adakara Saba Qamar ko cast kiya gaya hai. Dilchasp baat yeh hai ke is complex kahani ke script mashhoor journalist aur host Shahzaib Khanzada likh rahe hain.