Meera ne bayan diya hai ke Gen Z adakar purane aur veteran sitaron ka muqabla nahi kar sakte. Unhon ne kaha ke naye adakaron mein un jaisa aur Shaan Shahid jaisa tajurba aur miyaar nahi hai. Meera ne naye sitaron ko mashwara diya ke woh pehle apne kaam ko behtar karein aur ‘Psycho’ jaisi filmon ke miyaar ka kaam paish karein.