Actress Ayeza Khan ne Danish Taimoor ke sath vacation se Eid ki tasaveer share kein, jahan unhon ne Zara brand ka sleeveless pink dress pehna hua tha. Is dressing par social media users un se naraaz hain aur unhein apna wo purana bayan yaad dila rahe hain jahan unhon ne kaha tha ke wo kabhi camera par sleeveless nahi pehneingi.