Bushra Ansari ne barhti hui abadi par baat karte hue awam ko kam bache paida karne ka mashwara diya hai. Unhon ne kaha ke yeh sach hai ke rizq Allah deta hai, lekin resources na hone ke bawajood 7 se 9 bache paida karna ghalat hai. Unhon ne afsos jataya aur kaha sirf utne bache paida karein jin ki parvarish aasan ho.