Zara Noor Abbas ne Ambreen Fatima ke interview mein bataya ke woh mazi mein kisi aur adakar ke kirdar ko cheenne ka nahi sochti kyunke har aik ko uski kismat ka kaam milta hai. Unho ne adakara Saba Qamar ke drama Muamma mein ‘Jiji’ ke kirdar ki tareef ki aur khwaish jatayi ke Pakistan mein mazeed women-oriented kahaniyan banni chahiye.