Fatima Faisal ne Eid-ul-Adha ke silsilay mein self-reflection par baat karte hue kaha hai ke behtareen qurbani sirf janwar ki nahi balkay insan ke apne andar ke “janwar” yani gusse, ana, takabbur aur manfiyat ki hai. Unka manna hai ke qurbani hamein dard-mandi aur aajzi sikhati hai taake hum aik behtar insan ban sakein.